chal nahin sakte wahan zehn-e-rasa ke jod-tod un ki chaalen hain qayamat ki bala ke jod-tod hai nazar-andaz koi koi manzur-e-nazar dekhna us but ki chashm-e-fitna-za ke jod-tod kaj-adai baat hai jis ki lagawat khel hai sikh le us fitna-gar se koi aa ke jod-tod pa ke qabu karte hain ahl-e-gharaz kya danw-ghat chalte hain matlab ki chaalen muddaa ke jod-tod dost ban kar karte hain neki ke parde mein badi raj-niyyat ye hai dekho aghniya ke jod-tod sakhtiyan ustad hain insan ki duniya mein 'habib' karte hain maghlub ko ghaalib sikha ke jod-tod