mere aansuon pe nazar na kar mera shikwa sun ke khafa na ho use zindagi ka bhi haq nahin jise dard-e-ishq mila na ho ye inayaten ye nawazishen mere dard-e-dil ki dawa nahin mujhe us nazar ki talash hai jo ada-shanas-e-wafa na ho tujhe kya bataun main be-khabar ki hai dard-e-ishq mein kya asar ye hai wo latif si kaifiyat jo zaban tak aae ada na ho ye sharab zer-e-hasin-ghata jo hai 'kaif' nazish-e-mai-kada kisi tishna-kaam ki aarzu kisi tishna-lab ki dua na ho