chale but-khane ko khuda-hafiz tum bhi zahid kaho khuda-hafiz tere kuche se pech utha ke chale gesu-e-mushkbu khuda-hafiz dam-e-isa se bhi shifa na hui lo bas ai hamdamo khuda-hafiz hai bahut zud-ranj dil mera yar hai tund-khu khuda-hafiz us sanam ko khuda kahun na kahun hai sukhan gu-magu khuda-hafiz dil ko but-khana kar ke kabe chale zahido zahido khuda-hafiz hai firangan ke gore hath mein dil jaan ka sahibo khuda-hafiz dair se misl-e-nala-e-naqus jate hain ai buto khuda-hafiz baat bhi ki to ye kaha shab-e-wasl jaen hum tum kaho khuda-hafiz shah-e-khuban ke gham mein jaan chali ai 'wazir' ab kaho khuda-hafiz