chala hun apni manzil ki taraf to shadman ho kar kahin mayusi-e-dil ho na rahzan pasban ho kar hamari dastan ho kar tumhaari dastan ho kar kahan pahunchi mohabbat karwan-dar-karwan ho kar mere zauq-e-ubudiyyat ki takmil ai maaz-allah jabin inam-e-sajda de rahi hai aastan ho kar khud apne soz se jalna to har ek shama ko aaya wo parwana jo khakistar hai soz-e-digaran ho kar kali ka muskurana kah raha hai dastan un ki khizan jab aai ham-rah-e-bahaar-e-gulistan ho kar hamein ujde nasheman ki jab apne yaad aati hai qafas ki tiliyan jalti hain shakh-e-ashiyan ho kar 'figar' aah-o-fughan se kam na thi azmat mere gham ki magar kuchh aur rutba badh gaya soz-e-nihan ho kar