jahan unchi imarat hai wahin mitti ka bhi ghar hai ye qabristan ko dekho zara kitna barabar hai samundar ki khamoshi bhi to ek din tut jati hai magar kaise bhala tute jo tere in labon par hai bahut tadpa rahe ho bap ko raste mein tum lekin usi raste mein hai beta ajab kaisa ye chakkar hai haqiqat zindagi ki khul gai mujh par ki duniya mein zamin par sang hai hira magar mitti ke andar hai ye kaisa zakhm hai ab tak hara hai kyon nahin bharta yahan marham nahin hai waqt ke hathon mein khanjar hai bahut parde hain is kambakht ke kirdar par 'faez' ki chandi ki koi panni kisi patthar ke upar hai