chale aao agar dam bhar ko tum to ye jata rahe fil-faur maraz ki nahin hai ba-juz bimari-e-gham meri jaan mujhe koi aur maraz nahin kahta main tum se ki chaara karo magar aa ke kabhi kabhi dekh to lo ki samajhta nahin hai tabib koi hai tumhaare hi qabil-e-ghaur maraz mere isa-dam mere be-parwa na ilaj se mere hath utha nahin bachne ka ye mariz tera ki hai badhta chala be-taur maraz nahin is ka tajjub yaro agar mere dil mein dard ho rah rah kar kare ghaflat isi-e-dauran jab tu na bandhe kyun-kar daur maraz tujhe 'anjum' dard-e-firaq bhala kyun chain se uthne baithne de wo masih na jab kuchh rahm kare kare kyun na jafa-o-jaur maraz