ye jo suraj hai ye suraj bhi kahan tha pahle barf se uthta hua ek dhuan tha pahle mujh se aabaad hui hai teri duniya warna is kharabe mein koi aur kahan tha pahle ek hi daere mein qaid hain hum log yahan ab jahan tum ho koi aur wahan tha pahle us ko hum jaise kai mil gae majnun warna ishq logon ke liye kar-e-ziyan tha pahle ye jo ab ret nazar aata hai afzal 'gauhar' isi dariya mein kabhi aab-e-rawan tha pahle