kisi ke wada-e-farda par e'tibar to hai tulu-e-subh-e-qayamat ka intizar to hai meri jagah na rahi teri bazm mein lekin teri zaban pe mera zikr-e-nagawar to hai mata-e-dard ko dil se aziz rakhta hun ki ye kisi ki mohabbat ki yaadgar to hai ye aur baat ki iqrar kar saken na kabhi meri wafa ka magar un ko e'tibar to hai maqam-e-dil koi manzil na ban saka na sahi teri nigah-e-mohabbat ki rahguzar to hai wo zauq-e-did na shauq-e-nazara ab lekin meri nazar ko abhi un ka intizar to hai agar nigah-e-karam shewa ab nahin na sahi meri taraf abhi chashm-e-sitam-shiar to hai ye aur baat nasib-e-nazar nahin lekin nafas nafas tere jalwon se ham-kanar to hai zamana sath nahin de raha to kya 'akhtar' abhi jilau mein mere bakht-e-sazgar to hai