mizan-e-waqiat mein tola nahin gaya itna wo na-sipas tha likkha nahin gaya khushbu ki aarzu mein saza qaid ki hui sahra utha ke lae to puchha nahin gaya yun bhi main apne bare mein kuchh likh nahin saka lafzon ka shor aisa tha socha nahin gaya donon ko fart-e-shauq ne lab-basta kar diya wo chup raha to hum se bhi bola nahin gaya qarz-e-firaq main ne mukammal chuka diya lekin mere hisab se kata nahin gaya kaise bhala fasane mein sach ki talash ho lafzon ka her-pher hi pakda nahin gaya aise safar-nasib hain pushton se hum 'amir' ab tak hamare panw ka chhaala nahin gaya