chalega kaun mere sath ham-safar ki tarah kisi ki rah nahin meri rahguzar ki tarah mere yaqin ka is mein qusur hi kya hai fareb-saz mile mujh ko mo'atabar ki tarah na imtiyaz raha kam-nazar zamane ko dikhai dete hain sab aib bhi hunar ki tarah wo koi shish-mahal ho ki qasr-e-shahi ho gharib ko na milega sukun ghar ki tarah nahin khulus ka mear shahr mein tere yahan zamir ka sauda hai mal-o-zar ki tarah mile zarur tere aastan ko sar lakhon magar tadap na kisi mein hai mere sar ki tarah chamakte kanch ke tukde fareb dete hain 'nazar' ke samne aate hain wo guhar ki tarah