khule jo dil ke hain wo baat saf karte hain haqiqaton ka wahi e'tiraf karte hain zara si baat pe ahbab hote hain barham kabhi khataen bhi dushman muaf karte hain wo ittihad ki karte hain baat kis munh se jo paida qaum mein khud ikhtilaf karte hain jinhen hai aaj bhi dawa chaman-parasti ka wo sazishen bhi chaman ke khilaf karte hain bada subut hai un ki buland-zarfi ka khata jo karke agar e'tiraf karte hain junun mein farz nahin bhule tere diwane harim-e-naz ka teri tawaf karte hain 'nazar' ana ka nasha is qadar hai logon mein ki harf-e-haq se bhi wo inhiraf karte hain