faza aisi ba-faiz-e-baghban malum hoti hai

faza aisi ba-faiz-e-baghban malum hoti hai
bahaar-e-gulsitan misl-e-khizan malum hoti hai

kuchh apnon ka karam hai kuchh nigah-e-asr-e-hazir hai
hayat ek hasraton ki dastan malum hoti hai

ajab tahqir si tafriq-o-be-zari si nafrat si
darun-e-qalb mir-e-karwan malum hoti hai

dilon mein masjidon mein mandiron mein dars-gahon mein
siyasat hi siyasat hukmran malum hoti hai

girani rishwaten ghaple ghaban ifsad goli bam
yahi aazadi-e-hindostan malum hoti hai

khushamad is qadar bhi sathiyo achchhi nahin lagti
tumhaare munh mein auron ki zaban malum hoti hai

'saadat' jhank un ke dil mein khud nafrat bhari hogi
ye duniya jin ko nafrat ka jahan malum hoti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close