chalo abhi pas-e-diwar dekh lete hain jahan-e-khak ke us par dekh lete hain sahar ke hote hi rakht-e-safar jo bandhte hain charagh-e-subh ke aasar dekh lete hain hum apni rah se junhi bhatakne lagte hain to phir buzurgon ki dastar dekh lete hain tumhaari aankh ke pichhe jo sab manazir hain tumhein khabar nahin hum yar dekh lete hain rafaqaton mein bade man rakhe jate hain so doston ko kai bar dekh lete hain kai baras se zamane ke sath hain 'amabar' hum ab zamane ki raftar dekh lete hain