kabhi be-muddaa dena kabhi ba-muddaa dena samajh mein kuchh nahin aata teri sarkar ka dena kabhi mehrab-e-dil ko darkhur-e-kaba bana dena kabhi daman-e-gham ko bhi madine ki hawa dena mubarak un ko apni rah mein kante bichha dena hamein aata hai bas dushman ke haq mein bhi dua dena janab-e-shaikh ka ye zohd-o-taqwa kya ibaadat hai maal-e-bandagi hai zindagi apni mita dena teri nazron ke sadqe be-piye hi mast hain saqi hamare samne se saghar-o-mina hata dena riyaz-e-zakhm ko di tazgi meri nigahon ne mere ashkon ko aata hai khizan mein gul khila dena ghazal ko ab 'hayat'-afroz nazzaron ki hajat hai qadamat se alag hat kar nai duniya basa dena