zist ka hasil jawani hai magar wo sin gaya asl jo sarmaya-e-hasti tha yani chhin gaya ishq ki be-samtiyon ka us ne jab manga hisab ungliyon par umr ki sari bahaaren gin gaya ab to kam az kam ujad ja ai dil-e-khana-kharab dhadkanen kaise rawan hain jab tera sakin gaya mil gaya ya pa liya jo tha muqaddar ka likha dastaras se dur mumkin aur na na-mumkin gaya ghair se gulfam us ko be-takalluf dekh kar ek pal mein e'tibar-e-zahir-o-baatin gaya