dil dasht hai to ashk-fishani karenge hum ye kaam bas bara-e-rawani karenge hum baithe hain shamiyana-e-shab-rang mein udas rang-e-rukh-e-shafaq abhi dhani karenge hum pichhle baras ke ishq pe hum ko yaqin tha agle baras ka ishq gumani karenge hum chahen to is ko tegh-e-khamoshi se kat den lekin junun se jang zabani karenge hum thahre hain sail-e-harf-o-maani mein dam-ba-khud zahir kabhi to dard-e-nihani karenge hum qamat pe apni naz kare koh-e-sham-e-gham ghabra ke aaj marsiya-khwani karenge hum dariya ki samt bhagte jaenge sari umr aakhir mein apni pyas ko pani karenge hum