chalo kuchh to rah tai ho na chale to bhul hogi abhi band har gali hai jo khulegi tul hogi tere husn ki wadiat meri jurat-e-nazara tere ru-ba-ru jhukegi to nazar ki bhul hogi mere ham-safar badhenge mujhe rasta bata kar mere panw se udi hai mere sar pe dhul hogi mujhe qibla-ru bitha kar mere hath uthane walo ye yaqin bhi dila do ki dua qubul hogi chalo man len ye donon koi shai hai maslahat bhi na sitam ka dil dukhega na wafa malul hogi tera fan-e-qissa-goi abhi dar tak hi pahuncha mere shauq ki kahani abhi aur tul hogi wo lahu ki dhaar 'afzal' jo hai qarz khanjaron par na karenge hum taqaza na kabhi wasul hogi