firaq-e-yar mein kuchh kahiye samjhaya nahin jata dil-e-wahshi kisi surat se bahlaya nahin jata hamin ne chun liye phulon ke badle khar daman mein faqat gulchin ke sar ilzam thahraya nahin jata sar-e-bazar ruswa ho gae kya hum na kahte the kisi saudai ke munh is qadar aaya nahin jata gareban tham lenge khar to mushkil bahut hogi gulabon ki rawish par itna ithlaya nahin jata mahak jaegi meri khamushi bhi bu-e-gul ho kar nida-e-haq ko qaid-o-band mein laya nahin jata udhar wo ahd-o-paiman-e-wafa ki baat karte hain idhar mashq-e-sitam bhi tark farmaya nahin jata 'anis' uttho nai fikron se rahen zau-fishan kar lo maal-e-laghzish-e-mazi pe pachhtaya nahin jata