rah-e-ishq mein kab diya kuchh sunai dikhai bahut doston ne bhulai burai dikhai samajhte hain ahl-e-nazar husn ki ye adaen ghadi dekhne ke bahane kalai dikhai hamari tawajjoh bhi us dam zara munqasim thi madari ne kuchh hath ki bhi safai dikhai dobara bharosa kiya aazmae hue par bahut aap ne bhi tabiat rachai dikhai ajab kya jo aashiq ne sar phod kar jaan de di ajab kya jo mahbub ne bewafai dikhai