guzare hijr mein barson hi wasl-e-yar ke baad uthaya jabr bahut hum ne ikhtiyar ke baad na dushmanon ke liye thi zamin-e-kucha-e-dost bani na phir koi turbat mere mazar ke baad kis aasare pe guzarun zamana-e-furqat ki na-umid hua hun ek intizar ke baad khizan ke baad ilahi bahaar phir dekhen khizan to dekh chuke mausam-e-bahaar ke baad mere shabab ki yaad aa rahi hai piri mein ki qadr nashsha ki hoti hai kuchh khumar ke baad mila jo qais sa ham-rang dasht-e-wahshat mein hua sukun tabiat ko intishaar ke baad wo mashq-e-tir thi un ki hamare hi dil tak mila na phir koi nakhchir us shikar ke baad pas-e-fana hai tabahi ki ibtida mujh se bahut si aandhiyan utthengi is ghubar ke baad hum un ke bas mein hain qabu mein the jo apni 'diler' ye bebasi na kisi ko ho ikhtiyar ke baad