chalta rahunga chahe koi ham-safar na ho

chalta rahunga chahe koi ham-safar na ho
us samt ki jahan koi hijrat ka dar na ho

duniya ke tul-o-arz mein dekha nahin kabhi
aisa maqam jis pe kisi ka guzar na ho

jalte rahen firaq ki hiddat mein umr-bhar
shayad kabhi bhi marka-e-hijr sar na ho

khairaat husn-e-yar ki shayad na mil sake
mumkin hai wo hasin bhi kal baam par na ho

duniya tasawwuraat ki kitni hasin hai
kya faeda ki jab koi taswir-gar na ho

chahe ye zindagi ka safar dasht mein kate
lekin tera faqir kahin dar-ba-dar na ho

duri ka shauq shauq se pura kiya gaya
khwahish thi wo qarib mere is qadar na ho

tanha tawil raston pe chalna muhaal hai
mera tere baghair kahin bhi safar na ho

shayad ki koi yaad muqayyad rahe mudam
shayad visal-e-yar ka lamha basar na ho

mumkin hai us taraf se palat kar na aa sako
mumkin hai us taraf koi achchhi khabar na ho

tujh se bichhad ke chalta rahun rah par rawan
dariya ka ain wast ho lekin bhanwar na ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close