chalte hain gulshan-e-firdaus mein ghar lete hain tai ye manzil jo khuda chahe to kar lete hain ishq kis waste karte hain pari-zadon se kis liye jaan par aafat ye bashar lete hain dekhne bhi jo wo jate hain kisi ghael ko ek namak-dan mein namak pis ke bhar lete hain khak ud jati hai suthraw udhar hota hai nimcha khench ke wo bag jidhar lete hain main wo bimar hun allah se ja ke isa mere nuskhon ke liye hukm-e-asar lete hain yar ne lut liya mujh watan-awara ko log ghurbat mein musafir ki khabar lete hain is taraf hain ki jharoke mein udhar baithe hain jaeza kushton ka apne wo kidhar lete hain thik us rashk-e-chaman ko wo qaba hoti hai nap kar jis ki rag-e-gul se kamar lete hain kuchh thikana hai pari-zadon ki be-rahmi ka ishq-bazon se qisas aath pahar lete hain ye naya zulm hai ghussa jo unhen aata hai be-gunahon ko bhi makhuz wo kar lete hain shohrat us said-e-wafadar ki ud jati hai tir mein jis ke lagane ko wo par lete hain kahte hain huron ke dil mein tere kushton ke banaw is liye khun mein naha kar wo nikhar lete hain kis qadar nama-o-paigham ko tarsaya hai bhejte hain khabar apni na khabar lete hain dam nikalte hain kalejon se lahu jari hai sans ulti tere taftida-jigar lete hain chal khade honge to hasti main na phir thahrenge jaan-e-jaan chand nafas dam ye bashar lete hain hai ishaara yahi mu-ha-e-mizha ka un ki hum wo nashtar hain ki jo khun-e-jigar lete hain samna karte hain jis waqt gada ka tere baadshah takht-e-rawan par se utar lete hain sikka-e-dagh-e-junun pas hain rahna hoshyar log raste mein 'sharaf' jeb katar lete hain