hamari samt hain sare dhalaw pada har sail ka hum par dabaw mile hain sada-lauhi ki saza mein lutere nakhuda kaghaz ki naw wahan bhi wahshaten tanhaiyan hain zara sahra se wapas ghar to jao na jaane kab ye aag aa jae bahar ki sinon mein dahakte hain alaw hawa ka jis taraf rukh ho gaya hai usi jaanib hai shakhon ka jhukao zamin kya aasman bhi muntazir hai hisar-e-zat se bahar to aao kahenge log 'ahsan' tum ko pagal mohabbat hai to ye tohmat uthao