hai pesh-e-nazar shokhi-e-tahrir kisi ki kaghaz pe utar aai hai taswir kisi ki hasil hai faraghat to na itrao ziyaada rahti hai na rah paegi jagir kisi ki duniya jise kahte hain miyan ja-e-amal hai baaton se kahin banti hai taqdir kisi ki kam-zarf qayas apne pe kar lete hain khud hi hum sher mein karte nahin tahqir kisi ki kis haal mein yaran-e-adam hain nahin malum aai na khabar ta-dam-e-tahrir kisi ki is bab mein ahbab ko hasil hai fazilat kab meri taraf hoti hai tashhir kisi ki lagta hai ki diwanon ko ras aa gaya zindan muddat se khadakti nahin zanjir kisi ki