chalte hue mujh mein kahin thahra hua tu hai rasta nahin manzil nahin achchha hua tu hai tabir tak aate hi tujhe chhuna padega lagta hai ki har khwab mein dekha hua tu hai mujh jism ki mitti pe tere naqsh-e-kaf-e-pa aur main bhi bada khush ki are kya hua tu hai main yun hi nahin apni hifazat mein laga hun mujh mein kahin lagta hai ki rakkha hua tu hai wo nur ho aansu ho ki khwabon ki dhanak ho jo kuchh bhi in aankhon mein ikattha hua tu hai is ghar mein na ho kar bhi faqat tu hi rahega diwar-o-dar-e-jaan mein samaya hua tu hai