dastak hui to sar pe dupatta sambhal gaya chhota sa ek charagh mere dil mein jal gaya jate hue ruka hi nahin ek pal bhi wo sare sitare panw ke niche kuchal gaya tanbe ki tukdiyan si bikharti chali gain phir dekhte hi dekhte suraj pighal gaya barish ki bund bund ko tarsa hua tha shahr aanchal hawa ka tham ke baadal nikal gaya roti tawe pe sahmi hui dekhti rahi chulha bhadak utha tha mera hath jal gaya hairat hanuz tute hue aaine mein thi mujh par teri kaman se kyon tir chal gaya bite hue dinon ka dhuan phailta raha yun hi kanar-e-chashm jo aansu phisal gaya