chamak-damak pe na jao khari nahin koi shai siwae shakh-e-tamanna hari nahin koi shai dil-e-gudaz o lab-e-khushk o chashm-e-tar ke baghair ye ilm o fazl ye danish-wari nahin koi shai to phir ye kashmakash-e-dil kahan se aai hai jo dil-giraftagi o dilbari nahin koi shai ajab hain wo rukh o gesu ki samne jin ke ye subh o sham ki jadugari nahin koi shai malal-e-saya-e-diwar-e-yar ke aage shab-e-tarab teri nilam-pari nahin koi shai jahan-e-ishq se hum sarsari nahin guzre ye wo jahan hai jahan sarsari nahin koi shai teri nazar ki gulabi hai shisha-e-dil mein ki hum ne aur to is mein bhari nahin koi shai