saba-o-gul ko mah-o-najm ko diwana kiya meri sarisht ne har rang ko nishana kiya wahi bahaar jise tum bahaar kahte ho suluk hum se bahut us ne baghiyana kiya jahan bhi tez hawaon ne sath chhod diya ghubar-e-rah ne apna wahin thikana kiya hum aakhir us ke khad-o-khal dekhte kaise hamesha us ne qarib aane se bahana kiya sukhanwari ki ijazat to dil ne de di thi magar zaban ne izhaar-e-muddaa na kiya sahar ki aankh se aansu tapak na jaen 'naim' ye soch kar na bayan raat ka fasana kiya