chaman apne rang mein mast hai koi gham-gusar-e-digar nahin ki hai shabnam ashk-fishan magar gul-e-tar ko koi khabar nahin gham-e-zindagi ka ilaj to kabhi maut se bhi na ho saka ye wo sakht qaid-e-hayat hai kisi tarah jis se mafar nahin mere pas jo bhi tha lut gaya na wo main raha na wo dil raha kisi aur shai ka to zikr kya ki ab aah mein bhi asar nahin ye tasawwuraat ki wusaten ye takhaiyyulat ki rifaten wahan jalwe dekh raha hun main jahan ikhtiyar-e-nazar nahin tere husn ka ye kamal hai ki khud aap apni misal hai wo jamal hi to jamal hai jo kisi ka aks-e-nazar nahin jo hain be-amal wo hain ba-amal jo hain be-hunar wo hain ba-hunar ajab inqilab-e-zamana hai kahin qadr-e-ahl-e-hunar nahin mujhe ai 'figar' na mil saka koi lamha subh-e-nashat ka meri zindagi hai wo sham-e-gham ki jo rushanas-e-sahar nahin