koi bhi rasm ho kuchh ho bahana hota tha na jaane kya tha ki milna milana hota tha kisi se milte agar dil se ho ke milte the ajib log the kaisa zamana hota tha wo lad-jhagad ke bhi ek dusre pe marte the ye sab to tha hi magar aana-jaana hota tha koi bhi tod nahin ahd-e-yaad-e-mazi ka hazar gham the magar muskurana hota tha ye tarbiyat thi gharon mein har ek beti ko kisi bhi haal mein ho ghar bachana hota tha waraq waraq the kitabon ke mo'atabar itne har ek lafz ko dil mein basana hota tha agar tha ishq to is mein bhi aisi shiddat thi bhanwar mein aise hi bas kud jaana hota tha