hasil dil-e-tabah ko rahat kabhi na ho hum ko gham-e-firaq se fursat kabhi na ho ab chaunkta nahin hun tumhaare sitam pe main ye bhi hai kya maqam ki hairat kabhi na ho gar haal-e-dil sunaen to kis ko sunaiye aisi to dushmanon ki bhi qismat kabhi na ho ghabra ke hadsat se daman bacha sake itni dil-e-tabah ki jurat kabhi na ho hum muntazir hon aur gurezan hon bijliyan aisi nigah-e-naz qayamat kabhi na ho qaem rahe ye rabt gham-o-dard se 'nisha' sochen agar mafar ki bhi surat kabhi na ho