dil shikasta hai mera dost ki qurbat ke baghair

dil shikasta hai mera dost ki qurbat ke baghair
kitna khamosh hun main saz-e-mohabbat ke baghair

tangi-e-rizq-e-subu ho ki farawani ho
mujh ko pina hi nahin ab teri sohbat ke baghair

qurbaton mein na rahe kam-sukhani ka shikwa
mere dukh ko wo samajh jaen shikayat ke baghair

mujh ko har naqsh tera naqsh-e-qadam lagta hai
do qadam chal na sakun teri rifaqat ke baghair

ab bahar-taur hamein hona padega badnam
charche hote hain yahan kab kisi tohmat ke baghair

inkisari ho numayan tere kirdar mein dost
aur hai shart numayan ho raunat ke baghair

ye jo har gam pe ehsas-e-ziyan hai 'adil'
zindagi kat na sakegi kisi wahshat ke baghair


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close