chehre se numayan hai ek ek ada gham ki insan jise kahte hain taswir hai matam ki kyon hum ko daraate ho aashob-e-jahannum se duniya bhi to aakhir hai ek shakl jahannum ki majburi-o-mazuri mahrumi-o-nakaami aakhir koi had bhi hai is silsila-e-gham ki har aan muqabil hai ye mahr-e-darakhshan ke jurat to koi dekhe ek qatra-e-shabnam ki jannat se nikal kar phir jannat na mili us ko kya kya abhi likkha hai taqdir mein aadam ki darkar hai geti ko phir taza lahu shayad surkhi yahi kahti hai afsana-e-alam ki girdab mein ai 'jauhar' ye kis ka safina hai maujon ke talatum mein aawaz hai matam ki