chaman mein gul ne jo kal dawa-e-jamal kiya jamal-e-yar ne munh us ka khub lal kiya falak ne aah teri rah mein hum ko paida kar ba-rang-e-sabza-e-nurasta paemal kiya rahi thi dam ki kashakash gale mein kuchh baqi so us ki tegh ne jhagda hi infisal kiya meri ab aankhen nahin khultin zoaf se hamdam na kah ki nind mein hai tu ye kya khayal kiya bahaar-e-rafta phir aai tere tamashe ko chaman ko yumn-e-qadam ne tere nihaal kiya jawab-nama siyahi ka apni hai wo zulf kisu ne hashr ko hum se agar sawal kiya laga na dil ko kahin kya suna nahin tu ne jo kuchh ki 'mir' ka is aashiqi ne haal kiya