taqdir pe shakir rah kar bhi ye kaun kahe tadbir na kar wa bab-e-ijabat ho ki na ho zanjir hila takhir na kar gham badhne de ai dil aur zara jaanch aah ki be-tasir na kar hai khwab adhura aap abhi be-samjhe ghalat tabir na kar jab zulm ka badla zulm hua mazlum ka haq kuchh bhi na raha de dard hi mein lazzat yarab nale ko ata tasir na kar ho lakh kaman kadi qatil kuchh jazb nishane mein bhi hai bazu ke bal pe nazar kar ke andaza-e-zakhm-e-tir na kar ab tak jo nigahen sidhi hain mumkin hai kal ye palat jaen jo karna ho kare aise mein kis soch mein hai takhir na kar paiman-e-mohabbat khatm hua ab zikr se us ke faeda kya munh bikhri kadiyon ke na mila tayyar nai zanjir na kar ulfat ke ahd-e-mohkam mein bude kaghaz ki zamanat kya ye dil se dil ki baaten hain rakh yaad faqat tahrir na kar har dil hai hayat ka sarmaya har dil mein josh mohabbat ka tu 'arzu' aur kahega kya bas rahne bhi de taqrir na kar