tajalliyon se gham-e-e'tibar le ke utha sukun nahin tha to dil ka qarar le ke utha guzarne wale musafir se ki umid-e-wafa har ek rah se koi intizar le ke utha kiye junun mein yahan tak sujud-e-majburi ki aastan se tere ikhtiyar le ke utha chaman mein gham ki bahaaren guzar din main ne wahan se apne nasheman ke khar le ke utha khizan-nasib hai duniya use khabar kya hai bahaar le ke jo baitha bahaar le ke utha chaman se kyun na talluq ho surat-e-shabnam wo gir pada jo alaeq ka bar le ke utha hayat-khez hai har rang mein sabaat 'nushur' jo sang ho ke bhi baitha sharar le ke utha