dard-e-firaq dard-e-tamanna liye hue duniya se ja raha hun main duniya liye hue hun dil mein ek teri tamanna liye hue ya hun tamam ishq ki duniya liye hue aksar utha hun dost ki mahfil se is tarah aankhon mein ashk ashkon mein dariya liye hue duniya mein rah ke bhi hai wo duniya se be-niyaz jo hai tere khayal ki duniya liye hue shan-e-khulus-e-sajda ke qurban jaiye utthi jabin to naqsh-e-kaf-e-pa liye hue milta hai kya jawab teri bargah se aaya hun lab pe harf-e-tamanna liye hue sahra mein kat rahi hai agar zindagi to kya aankhon mein hai bahaar ka naqsha liye hue un ka ilaj kaun kare bas tere siwa hain jitne zakhm dil mein masiha liye hue ab jo bhi bazm-e-dost mein pesh aae ai 'kamal' jata hun dil mein dil ka taqaza liye hue