chaman mein mujh se diwane ke le jaane se kya hasil dikha kar gul junun ko shor mein lane se kya hasil jinhen baalon ki phansi di wo hargiz ji nahin sakte jo zulfon mein phansaya us ke gham khane se kya hasil hamare dard ki daru agar kuchh hai to daru hai ye sab kuchh sun ke saqi baat pi jaane se kya hasil nigah tere hi jaise aks aaine ka chini mein ye sab baaten samajh kar jaan sharmane se kya hasil na wo dil hai na wo shor-e-junun hai sair-e-gul mat kar rafiqon bin 'yaqin' gulzar mein jaane se kya hasil