chaman mein phulon ka daman-e-tar-tar bhi dekh

chaman mein phulon ka daman-e-tar-tar bhi dekh
bahaar dekh chuka hasil-e-bahaar bhi dekh

asir-e-subh-e-tarab sham-e-sogwar bhi dekh
guzarte lamhon ka ek aur shahkar bhi dekh

mah-o-nujum ke jalwon se khelne wale
faza mein phaila hua rang-e-intishaar bhi dekh

tere khayal se aage teri nazar se pare
jo pal rahe hain wo lamhat-e-khalfishaar bhi dekh

nikal ke marmarin mahlon ke sard-khanon se
tapa tapa sa gharibon ka reg-zar bhi dekh

bahaar ghuncha-o-gul se nazar hata ke zara
sisakti qaum ke zakhmon ka lala-zar bhi dekh

ba-nam-e-amn liye aslahon ke daman se
jo uth raha hai wo tufan-e-shoala-bar bhi dekh

lahu lahu hai jahan jism-e-ashti 'ahmar'
sitam-rasidon ka wo khun-chakan dayar bhi dekh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close