mahrumi-e-hayat kahin hai kahin nahin gham ki udas raat kahin hai kahin nahin roz-e-azal se marhala-e-marg-o-zist hai apni hi ek zat kahin hai kahin nahin afsurdagi-o-zinda-dili ke hujum mein ye puri kaenat kahin hai kahin nahin pesh-e-nazar hai wusat-e-arz-o-sama magar qaid-e-tayyunat kahin hai kahin nahin har-chand dil wajud-e-wafa par hai mutmain lekin wo ek baat kahin hai kahin nahin 'ahmar' hai yun to sab pe kisi ki nazar magar wo chashm-e-iltifat kahin hai kahin nahin