chamke hue hain diwar-o-dar raunaq hai bazaron mein kaise kaise log aae hain kaisi kaisi caron mein main to us ke samne baitha us ka chehra padhta tha jaane wo kya dhund raha tha angrezi akhbaron mein wo bhi din the jab har chhutti tere sath guzarti thi aaj magar rakkha hi kya hai hafton aur itwaron mein jaane kis farhad ka tesha kis ke jigar ko chir gaya khun ki dhaaren dekh raha hun patthar ki diwaron mein jin logon ke aql-o-hunar ki dhum machi thi aalam mein un ko bhi dekha hai ruswa shahon ke darbaron mein phul se chehre shakh si banhen jab galiyon mein milti hain kaun bhala phir sair ko jae hare-bhare gulzaron mein to meri masum nazar ko bul-hawasi ka dosh na de main to khud ko dekh raha hun tere hasin rukhsaron mein aao un ko bahar la kar taza hawa mein bithlaen log chhupe baithe hain kab se apni zat ke ghaaron mein ab ke to 'betab' muri mein kuchh kuchh aag barasti thi jalte sahra aa nikle the bhige hue kohsaron mein