umr jo be-khudi mein guzri hai bas wahi aagahi mein guzri hai koi mauj-e-nasim se puchhe kaisi aawargi mein guzri hai un ki bhi rah saki na darai jin ki askandari mein guzri hai aasra un ki rahbari thahri jin ki khud rahzani mein guzri hai aas ke jugnuo sada kis ki zindagi raushni mein guzri hai ham-nashini pe fakhr kar nadan sohbat-e-admi mein guzri hai yun to shaer bahut se guzre hain apni bhi shaeri mein guzri hai mir ke baad ghaalib o iqbaal ek sada, ek sadi mein guzri hai