dhundla diya zist ka tasawwur apni aankhon hi ki nami ne haiwan-sifat hua hai aakhir dikhlaya kamal aadmi ne ki dosti bhi to dushmani se jaana na unhen magar hamin ne gadhe ki to khaal khinch dali raat un ke jamal-e-reshmin ne shoalon se bujhai pyas ji ki yaron ke mizaj-e-balghamin ne ye zohra ye mushtari ye mahtab kya kya na milin nai zaminen mit kar bhi ghubar-e-kahkashan hain chamka diya kis ki hamdami ne jo gul sar-e-arsh bhi na khilte wo gul bhi khila diye zamin ne shayad ki talab kiya 'nazar' ko kabe mein rasul-e-hashmi ne