chand harfon ne bahut shor macha rakkha hai yani kaghaz pe koi hashr utha rakkha hai mujh ko to apne siwa kuchh nazar aata hi nahin main ne diwaron ko aaina bana rakkha hai aap ke panw tale se bhi khisakti hai zamin aap ne kyun ye falak sar pe utha rakkha hai mushaf-e-zat ki tafsir hai ye gahri chup chup hi mani hai miyan harf mein kya rakkha hai mujh pe to bhaari nahin koi shab-e-hijr mujhe zakhmon ne sarw charaghacharan bana rakkha hai mera har kaam qayamat hi utha deta hai tu ne har kaam qayamat pe utha rakkha hai gulshan-e-dil abhi shadab hai pazhmurda nahin mausam-e-gham ne use kitna hara rakkha hai