na nishat-e-chaara-sazi na malal-e-kam-nigahi mujhe us nazar ne mara be-gunah be-gunahi sar-e-anjuman ghanimat hai buton ki kam-nigahi ki sukun-e-dil pe aati hai nazar se bhi tabahi ye siyasat-e-bahaaran hai khizan ki be-panahi ki jo jal uthe nasheman to chaman na de gawahi teri anjuman se bahar kai aaftab nikle na dhuli kisi sahar se kisi raat ki siyahi tere shahr se nikalte hi mizaj-e-dahr la hi na wo rabt-e-shabnam-o-gul na wo baad-e-subh-gahi tere shahr-e-arzu mein yunhi kat gai hain raaten na junun ki aankh jhapki na khirad ne li jamahi diye teri rahguzaron ke jahan jahan jale hain na charagh-e-but-kada hai na charagh-e-khanqahi na sanam-kade ki manzil na haram ka aastana wo nazar jahan uthi hai wahin ruk gae hain rahi koi 'shor' ye to puchhe dar-o-baam-e-khusrawi se ye lahu se kis ke raushan hai charagh-e-kaj-julahi