mat jaaniye paikar mein bas naz-o-ada ka aurat mein hai dam marka-e-jaur-o-jafa ka manzil pe pahunch sakte nahin aise musafir har gam pe ho khauf jinhen aabla-pa ka har dard ka darman hai sharab-e-gham-e-ulfat ek ghunt mein hum pite hain ek jam shifa ka main sun ke jise laut gai beach safar se manus sada thi ki wo dhoka tha sada ka benam-o-nishan barg si aawara-e-manzil kuchh mujh pe karam shakh ka kuchh zor hawa ka sahra-e-mohabbat hai sarabon ka tasalsul hasil hai faqat tishnagi 'resham' ki wafa ka