chand mashriq se nikalta nahin dekha main ne tujh ko dekha hai to tujh sa nahin dekha main ne hadisa jo bhi ho chup-chap guzar jata hai dil se achchha koi rasta nahin dekha main ne phir dariche se wo khushbu nahin pahunchi mujh tak phir wo mausam kabhi dil ka nahin dekha main ne mom ka chand hatheli pe liye phirta hun shahr mein dhup ka mela nahin dekha main ne chadhte suraj ki shuaon ne mujhe pala hai jo utar jae wo dariya nahin dekha main ne phir mere panw ki zanjir hila de koi kab se is shahr ka rasta nahin dekha main ne mujh ko pani mein utarne ki saza deta hai wo samajhta hai ki dariya nahin dekha main ne 'qais' kahte hain faqiron pe bahut bhaunkta hai apne ham-sae ka kutta nahin dekha main ne