main wo ek jins-e-giran hun sar-e-bazar ki bas hath yun milte hain hasrat se kharidar ki bas aaj tak ahl-e-wafa se na kisi ne puchha aur jari rahe shughl-e-rasan-o-dar ki bas chilchilati hui ye dhup ye tapte maidan aur idhar hausla-e-dil ka wo israr ki bas aa gaya yazdan ko taras aakhir kar itna sharminda-o-nadim tha gunahgar ki bas shiddat-e-shauq mein had se na guzar jae kahin koi kar de dil-e-nadan ko khabar-dar ki bas ji yahi kahta hai ab chal ke wahin ja thahro hum ne viranon mein dekhe hain wo aasar ki bas daulat-e-aish mila karti hai na-danon ko ahl-e-idrak jiya karte hain yun khwar ki bas chup hi is daur mein rahiye to munasib hai 'shamim' kan yun rakhte hain warna dar-o-diwar ki bas