kisi parinde ne udne ka man banaya hai wo koi aur nahin mera hi to saya hai zamin ki mutthi mein jaise ho aasman koi ghazab ka reshmi ehsas koi laya hai gulon mein shokh gulabi tumhin ne rang bhare chale bhi aao ke gulshan ne ab bulaya hai ye mera ganw har ek roz yun damakne laga ke jugnuon ne yahan aashiyan banaya hai nae se khwab chura lun hasin lamhon se yun shabnami si kisi raat ne sulaya hai bhara bhara sa hi rahta hai ye mera man ab mizaj waqt ne tujh se ye khub paya hai milo kabhi bhi jo fursat mein to ye puchhenge yun mere chand ko mujh se hi kyun churaya hai