chand ne apna dip jalaya sham bujhi virane mein us ki basti dur hai shayad der hai us ke aane mein kya patthar ki bhaari sil hai ek ek lamha mazi ka dekho dab kar rah jaoge itna bojh uthane mein us ko nahin dekha hai jis ne mujh ko bhala kya samjhega in aankhon se guzarna hoga mere dil tak aane mein apni zat se kuchh nisbat thi wo bhi is ki khatir se mera zikr nahin milta hai ab mere afsane mein ek hi dukh tha mera apna wo bhi is ko saunp diya aakhir dil ki baat zaban tak aa hi gai anjaane mein ab to tum bhi jaan gai ho tum ko kya sukh milta tha mere ghar ke kaam mein meri man ka hath batane mein meri raaton mein mahke hain jo sapnon ki dali se rang hai in phulon ka shamil aaj tere sharmane mein jis se baat bhi karni mushkil wo bhi is mahfil mein hai 'mushaf' kaisa lutf rahega us ko sher sunane mein